〰〰〰〰〰〰〰
Sahi muslim :
Volume no : 2
kitabul fazaeil : 2229
Hazrat Abu huraira(razi) se riwayat :
Nabi(saw) ne farmaya :
👉🏼 " aaj subah se kaun Roze-dar hai ? "
Hazrat Abubakar(razi) ne arz kiya :
Mein.
Nabi(saw) ne farmaya :
👉🏼 " aaj jannaze ke saath kaun gaya ? "
Hazrat Abubakar(razi) ne arz kiya :
Mein.
Nabi(saw) ne farmaya :
👉🏼 " aaj Miskeen {Gareeb} ko khaana kis ne khilaaya hai ? "
Hazrat Abubakar(razi) ne arz kiya :
Mein ne.
Nabi(saw) ne farmaya :
👉🏼 " aaj Bimaar ki ayaadat kis ne ki ? "
Hazrat Abubakar(razi) ne arz kiya :
Mein ne.
Nabi(saw) ne farmaya :
👉🏼 " jis shakhs me ye sab baatein jama ho gai,
Wo jannat me daakhil ho gaya."
▪▪▪▪▪▪▪▪▪▪
No comments:
Post a Comment