🚫SHIRK KI KHATARNAAKI🚫
🌹Bismillahhirrahmanirraheem🌹
Farmaan e ILAHI
📖Allah Ta’ala shirk karne wale ko kabi nahi bakshta aur uska thikana jahannum hai
” Yaqinan Allah apne saath shareek kiye jaane ko nahi bakshta aur uske siwa jise chaahe baksh deta hai aur jo Allah ke saath shareek muqarrar karen usne bahut bada gunaah aur bohtaan baandha”
📖(Surah Nisa :48)
Ek aur irshaad Allah Ta’ala ka
” Yaqeen maano Ki jo shakhs Allah ke saath (kisi ko) shareek karta hai uska thikaana jahannum hi hai aur gunaahgaaron ki madad karne waala koi nahi hoga”
📖(Surah Maidah : 72)
Shirk ko Allah ne sabse bada gunaah qaraar diya hai
” Yaqinan shirk sabse bada gunaah hai”
📖(Surah luqmaan : 13)
Shirk wo cheez hai jo nek amaalo ko barbad kar deti hai
” Yaqinan teri taraf bhi aur tujhse pahle (ke tamam nabiyon) ki taraf bhi wahi ki gayi hai ki agar tune shirk kiya to bila shubah tere aamal zaaya ho jaayenge aur yaqinan tu nuqsaan uthaane waalon mese ho jaayega”
📖(Surah zumar : 65)
📖Surah Anaam me taqreeban 18 nabiyo k nam ginane k bad aage Allah farmata hai…..
”Allah ki hidayat hi hai jiske zariye apne bandon mese jisko chaahe uski hidayat karta hai aur agar (maan lo) ye hazraat bhi shirk karte to jo kuch ye Aamaal karte to wah sab barbaad ho jaate”
📖(Surah anaam : 88)
▪▪▪▪▪▪▪▪▪▪▪▪▪▪▪▪
Allah tala is ayat me nabiyo ki taraf ishara kar ke kah raha hai ke unke bhi aamaal zaya ho jate agarche wo SHIRK kar lete to SubhanAllah!!!.Ham log to kisi ginti me bhi nahi hai Aur naahi hamare amaal unke muqable me hai. Allah Ta’ala shirk karne walo ke nek amaalo ko zaya kar deta hai.Aur ALLAH kyu na zaya karde jab uska haq kisi aur ko doge to. Ek ek sans ka insan mohataj hai, Allah jab chahe chhin le, lekin insan usse SHIRK kar baithtahai.Allah ham sabko shirk se bachaye aur tauheed pe qayem rakh usi pe khatma kare.
Ameen!!
No comments:
Post a Comment