Saturday, 25 November 2017

ALLAH ke liye sajda

Sahi muslim :
Volume no : 1
Kitabul imaan : 151

Hazrat abu huraira(razi) se riwayat:

Nabi(saw) ne farmaya :

👉🏼 " jab aadmi sajde ki aayat padh kar sajda karta hai,

Tou shaitan roata hua alag ho jaata hai,

Aur kehta hai ;

Afsos aadmi ko sajde ka hukum diya gaya,

tou aadmi ne sajda kar liya,

Aur aadmi ke liye jannat mukarar ho gai,

Aur mujhe {shaitan ko} sajde ka hukum diya gaya,

Tou mein {shaitan} ne inkaar kiya,

Aur mere {shaitan ke} liye jahanam mukarar ho gai."

▪▪▪▪▪▪▪▪▪▪

No comments:

Post a Comment