
1.Taqleed kise kahte hai


2.Taqleed zaruri kyun


3.Taqleed kiski zaroori hai


4.Kyun mai Hanafi hoon


5.Kyon mai Maliki hoon


6.Kyon mai Shafaee hoon


7.Kyon mai Hambali hoon


8.Kya taqleed karna farz hai


9.Taqleed kab tak karna zaruri hai


10.Jab Isa (A) is duniya me fir se NAZIL honge to in 4 Imaamo me se kis ki TAQLID karenge

Isa(A) jis Imaam ki TAQLID karenge wo Imaam HAQ par hoga kyunke Isa(R) Allah ke Rasool hai.

11.4 Imaamo se kisi 1 ki TQALID karne ka HUKM kisne diya…
ALLAH ne…

RASOOL ne…

Khud in 4 Immamo ne…

Aaj ke ya baad ke Maulviyo ne…

12.Islam me sirf 4 tarah ke HUKM hai : FARZ,WAJIB, SUNNAT, NAFIL
To fir in 4 Imaamo se kisi 1 ki TAQLID karna kya…..
Farz hai…

Wajib hai…

Sunnat hai…

Nafil hai….

Agar NAFIL hai to fir apke liye FARZ kaise ban gaya


13.Sahaba kaun the

Hanafi, Maliki, Shafai ya Hambali


14.Kya sahaba (R) me se koi 1 sahabi is qabil nahi tha ke unko apna Imam bana diya jaaye


15.Sahaba ka DARJA bada hai ya baad wale UMMATIYO ka

fir unme se koi Imaam kyun nahi bana


17.Kya in 4 Imaamo se ya kisi 1 Imaam ka naam Quran wa Hadees me aayaa hai


18.Jo log in 4 Imam paida hone se pahle MAR (death) chuke unka kya hoga


20.Imam Abu Hanifa (R),Imam Malik (R), Imam Shafai (R) aur Imam Hambal kaunse Imam ko maante the


21.Agar mai ek Imaam ko manta hoon to kya baaqi Imaam haq par nahi hai


22.Agar sab Imaam haq par hai to fir mai ek Imaam ke pichhe hi kyun


23. 4 Imaam ek dusre ke USTAD-SHAGIRD the to fir inki FIQH alag alag kyun


24.Agar sab Imam haq par hai to fir inke andar apas me ikhtelaaf kyun


25.In
4 Imaamo se baaki 3 Imaamo ki apni likhi hui KITABE aj bhi maujud hai
lekin Abu Hanifa (R) ne likhi hui KITAB ka naam kya hai…??? Yeh kitab
Hanafi Masjido me kyun nahi padhi jaati


26.Agar
Imaam ko nahi maan'na gunah hai, to ek Imaam ko maan'ne se dusare 3
Imaam chhut' jaate hai, iska gunah mere sar par kyun


27.Jab
Imaamo ne bhi apne aapko Hanafee, Shaafaee, Maliki ya Hambali aise
nisbaton se nahi jodha, to phir mai kyun apne aapko aisi nisbato se
jodta/jodti hoon


28.Kya hamare Imaam ne humse kaha hai ki sirf meri hi taqleed karna aur mere alaawa kisiki bhi taqleed na karna


29.Kya mera MANHAJ (raasta) wahi hai jo mere Imaam ka tha


30.Mai apne Imaam ke baare me kitna jaanta hoon


31.Kitni kitaabe ab tak maine ya mere gharwalo ne apne Imaam ki padhi hai

(zaraa sochiye)

32.QABR me FARISHTE kya mujse yeh sawaal puchhenge ki bataa tera Imaam kaun tha


33.Qayamat ke din kya mujse yeh sawaal puchha jaaega-bataa tera Imaam kaun tha

aur tu kiski taqleed karta tha


34.QABR me ya Qiyamat ke din baaki 3 Imaam ke bareme kya jawab dunga


35.Agar
maine apne Imaam ka naam bata bhi diya, or agar mujhse ye sawaal ho
gaya ke sirf is Imaam (maslan Imaam Shafaee) ki hi taqleed ko kyun
chuna, to iska mai kya jawaab dunga


36.Kya
meri, ya mere waidain (parents) ki, ya mere ulmaao ki itni haisiyat hai
ki woh yeh faisala kar saken ki kis Imaam ko mana jaae aur kisko chhodh
diya jaye


37.kya yeh log Imaam se zyada taqwe waale aur ilm waale hai


38.Aur 1 khaas sawaal ye hai ki jab ye Imaam nahi the to musalmaan kis ki taqleed karte the


39.Bhaiyo
agar aap ke paas in sawalo ke jawab nahi hai to maaf karna, aap na to
Hanafi hai, na Shafaee, na Maliki, aur na Hambli, Aur shayad aapko yeh
bhi nahi pata, ke aap kya hai


Aur kuchh sawalaat….

41.Wo kaunsa Imam hoga jiski sifarish hamare haq me Allah qubool karega


42.Wo kaunsa Imam hoga jo Hauze-e-Kausar par khada hoga


43.Wo kaunsa Imam hoga jiske bare me hamse Qabr me sawaal hoga


44.Wo kaunsa Imam hai jiski itaa’at Allah ki itaa’at hai aur jiski nafarmani Allah ki nafarmani hai


45.Wo kaunsa Imam hai jiska kalima hamne pada hai


46.Wo kaunsa Imam hai wo apni ummat ki khatir roya hai


47.Wo kaunsa Imam hai jiske laye huye DEEN par Imaan lana NAJAAT ke liye zaroori hai


49.Kya TAQLID ki wajah se ye UMMAT firqo firqo me nahi bati


50.Agar IKHTELAAF is UMMAT ke liye RAHMAT hai to fir HAM AUR ZYADA IKHTELAAF kare

Kis HADEES me “is UMMAT ka RAHMAT hai” aisa kaha gaya…

Kya yeh Quran ke is ayat ke khilaf nahi hai.
“Aur tum sab ke sab (milkar) Allah ki RASSI (Quran) ko mazbooti se thaam lo aur aapas me firka firka na bano….”
(Surah Imran 3: ayat 103)

51. Sahaba kya the muqallid

agar sahaba muqallid hai to 4 imam kya the Mujtahid?
Sahaba Muqallid(Jaahil) aur 4 imam Mujtahid ye kaisa Insaaf hai

No comments:
Post a Comment