Thursday, 5 November 2015

MAIN KAUN HOON

Kuch sawal MUSALMAN ko Apne Aapse Puchne zaruri hain...

Taqleed kise kahte hain ?

Taqleed Zaruri kyon ?

Taqleed kiski zaroori hai ?

Kyon main Jafri Hoon ?

Kyon mai Hanafi hoon ?

Kyon mai Maliki hoon ?

Kyon mai Shafaee hoon ?

Kyon mai Hambali hoon ?

Kya Taqleed karna zaruri hai ?

Taqleed kab tak karna zaruri hai ?

Agar mai ek Imaam ko manta hoon, to kya baaki Imaam Haq par nahi hain ?

Agar sab Imaam haq par hain to mai ek Imaam ke Peechhe kyon ?

Agar sab Imam Haq par hain to fir inke andar apas me Ikhtelaaf kyon ?

Agar Imaam ko Naa maan'na Gunah hai, to ek Imaam ko maan'ne se teen Imaam chhut'te hain, Iska Gunah mere sar par kyon ?

Jab Imaamo ne bhi apne aapko Jafri, Hanafee, Shaafaee, Maliki ya Hambali Nisbaton se nahi jodha, to phir mai kyon apne aapko aesi Nisbato se jodhta hoon ?

Kya Imaam ne Humse kaha hai sirf Meri Taqleed karna Ya mere alaawa kisiki Taqleed karna ?

Kya mera Manhaj Raasta wahi hai Jo Imam ka tha ?

Mai apne Imaam ke baare me kitna Jaanta hoon ?

Kitni kitaabe ab tak maine ya mere Gharwalo ne apne Imaam ki padhi hain ? (zaraa sochiye)

Qayamat ke din kya Mujse yeh sawaal puchha Jaaega-bataa tera Imaam kaun tha ? Tu kiski Taqleed karta tha ?
Agar haan to main baaki Imaamo ke bareme kya jawab dunga ?

Agar mene apne Imaam ka naam bata bhi diya, or agar mujhse ye sawaal ho gaya ke sirf is Imaam ki hi Taqleed ko kyun chuna, to mai kya jawaab dunga ?

Kya Meri, ya Mere Waledain Ki, ya mere Ulmaao ki itni Haisiyat hai, ki woh yeh faisala kar saken ki kis Imaam ko mana jaae aur kisko chhodh diya jaye ? kya yeh Imaamo se zyada Taqwe waale aur Ilm waale hai ? Joh Madhab ki Dawat derahen hai

Note : Ek Khaas sawaal hai ki Jab ye Imaam nahi the to Musalmaan kiski Taqleed karte the ?

Bhaiyo Agar Aap ke paas in sawalo ke jawab nahi hain to Maaf karna, Aap na to Jafri hain, na Hanafi hain, na Shafaee, na Maliki, aur na Hambli, Aur shayad aapko yeh bhi nahi pata, Aap kya hain ?

Q. Wo konsa Imam hoga jo Allah ke aage hamari Sifarish ke liye sajde me jayega ?
A. Muhammad (Sallahahualihwasallam)

Q. Wo konsa Imam hoga jiski sifarish Hamare Haq me Allah Qabool karega ?
A. Muhammad (Sallahahualihwasallam)

Q. Wo konsa Imam hoga jo Hoz-e-kosar par khada hoga ?
A. Muhammad (Sallahahualihwasallam)

Q. Wo konsa Imam hoga jiske bare me hamse Qaabr main sawaal hoga ?
A. Muhammad (Sallahahualihwasallam)

Q. Wo konsa Imam hai jiski Itaat Allah ki Itaat hai or Nafarmani Allah ki Nafarmani hai ?
A. Muhammad (Sallahahualihwasallam)

Q. Wo konsa Imam hai jiska Kalma hamne pada hai ?
A. Muhammad (Sallahahualihwasallam)

Q. Wo konsa Imam hai Apni ummat ki khatir Roya hai ?
A. Muhammad (Sallahahualihwasallam)

Q. Wo konsa Imam hai Jiske laye hue Deen par Imaan laga zaroori hai ?
A. Muhammad (Sallahahualihwasallam)

Sochiye......

"MAIN KISI IMAM KO NAHI MAANTA KYA MAIN KAFIR HOJAYUNGA ??
AGAR MOHAMMED SALAHAHUALIHWASALM KO NAHI MAANUGA, ITTEBAH NAHI KARUNGA, MAIN KAISE NABI KA UMMATI MUSALMAAN KEHLAUNGA"

Kyon Hum Itne Gaafil Hain Islam se.... Aakhirat se ??????

Quran : Aur Joh Shaqs Seedha Raasta Malum Hone Ke Baad Paigambar ki Mukhalifath kare, Aur Momino ke Raaste ke Siwa, Aur Raaste Par Chale Toh Jidhar Woh Chalta Hai, Hum Usey Udhar Hi Chalne Denge Aur (Qayamat ke din) Jahannam Mein Dakhil Karenge Aur Woh Bura thikana hai.
[Surah Nissa 4/115]

No comments:

Post a Comment