Qurbani Ka Maqsad Mahez Allah ki Raza Hasil karna,uske qurb Talash karna aur taqwe ka husool Hona chahiye, qurbani me Kisi Maqlooq ki raza Talash karna ya Allah ke siwa kisi aur ki khushnudi chahna Najayez hai, Jaisa Ke Allah ne farmaya: "Yaqeenan Meri Namaz , meri Qurbani, mera jeena aur mera Marna khalis Allah ke liye Hai".
Ref. (Al-qur'an:Sure An'am,Ayat no.162)
Aur Ek Dusre Muqam par Allah ne qurbani ka maqsad Wazeh bayan kiya,
Irshade Bari Ta'ala hai:
"ALLAH ko Na to (Tumhari) qurbaniyo ka gosht pahunchta hai aur Na Hi unke qoon, lekin use tumhari taraf se (tumhare dilo ka) taqwa pahunchta hai".
Ref. (Al-Qur'an:sure haj,Ayat no.37)
Lehaza Qurbani me Riyakari (dikhawa) ka Amal dakhil na ho , Jaisa ke Aaj kal log qurbani dikhawe ke liye 2 ya 4 bakre bataure competiton Qurban karte hai, Aisi qurbani inhi logo ke mun par maardi jaati hai.
Allah se dua hai ke Allah humsabko sirf aur sirf Allah ki raza ke liye qurbani karne ki Taufeeq Ata farmaye...
Aameen!
No comments:
Post a Comment