Sunday, 6 November 2016

Five Questions

1} Sunnan tirmizi : 2416
2} Tabrani : 9772

Hazrat Abdulla bin masud(razi) se riwayat :

Nabi(saw) ne farmaya :

👉🏼 " Qayamat ke roz koi shakhs iss waqt tak apni jagah se paav nahi hila sake ga,

jab tak wo 5 sawal ke jawab nahi de paata,

1} apni umar ke baare me,

ke zindagi kaise guzari,

ALLAH ki farmabardari me ya na-farmani me.

2} jawani ki umar ke baare me,

ke jawani kaha surf ki.

3} maal ke baare me,

ke maal kaise kamaaya,

Haram se ya halal se.

4} Aur maal kaha karch kiya,

Haram kaamo me karch kiya,

ya halal kaamo me kharch kiya.

5} jis masle ka illm ho,

iss par amal kiya tha ya nahi."

▪▪▪▪▪▪▪▪▪▪

No comments:

Post a Comment