Sunday, 6 November 2016

Tanhai mein internet ka galat istemaal

📚 Sunnan ibne maja :
kitabul zuhad : 4386

Hazrat soban(razi) se riwayat :

Nabi(saw) ne irshad farmaya:

👉🏼 " Mein apni ummat mein se yaqeeni taur par aise logon ko jaanta hoon,

jo qayamat wale din iss haal mein aaye ge ke unke saath pahaad ke barabar nekiya hogi,

tou ALLAH un nekiyo ko (hawa mein muntashir ho jane wala) ghubaar bana kar mita dega."

Hazrat soban(razi) ne arz kiya:

Aye Nabi(saw),

Hume un logon ki nishaniyaa bataaiye,

Hamare liye un logon ka haal bayan farmaye,

taa ke aisa na ho ke hum unhein jaan na sake,

aur unke saath ho jaaye,

Nabi(saw) ne irshad farmaya:

👉🏼 " Wo log tum logo ke deeni bhai honge,

aur tum logon ki jild (zahiri pehchan islam) mein se honge,

aur Raat ki ibaadat mein se ussi tarah (hissa) lenge,

jis tarah tum log lete ho (ya'ni tum logon ki hi tarah qiyam al layl kiya karenge),

lekin unka maamla yeh hoga ke,

jab woh log ALLAH ki Haram karda cheezo,

Aur kaamo ko tanhaai mein paayenge,

tou unhein istemaal karein ge."

▪▪▪▪▪▪▪▪▪▪

No comments:

Post a Comment